Sunday, March 21, 2010
Autumn dream
acchanak kuch aisa khayal aa raha tha
ki main koi door—sare sawaal jawab ke ghere se aage
pankh laga ke nikal chhuka huun..tere saath ,Maya
chup ke se kisi ko khabar bhi nehi hai... !
kuch badal ake chune lage the ,
patharon pe payr rakh ke nadi ko paar kar rehi ho
girti samabhalti haansti hui
mera haath thaame
raat karvat lee
aur jaage huey hum, taaron ko dekhtein hai
chaandni se rooh ko bhigo ke.
kuch sookhee patton ki ahat
aur koi awaz nehi
kuch tez saans ke shor ke siwaay
yuun to bahut si raat jaage the hum
tere saath ki gujarish leke
aaj neend na aana kuch khaas hai
aaj tera panha mil jo gaye.
bhor hone laga hai...
lekin raat ka wo sapna
abhi ankhon se gaya nehi..
naa tere Maya, aur na mere!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Good but highly emotional. Make us all happy with more of your blogs.
ReplyDeleteFantastic didi. After reading this , for the first time I felt How the sounds of the leaves and dim light of the dawn can be described in such a lovely fashion.
ReplyDeleteAtleast to me, you are Hindi "Wordsworth".